Tuesday, May 7, 2013

Mujhey Khouf Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,


Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,


Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,


Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….


Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

sirf tum

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,


Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,


Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,


Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,


Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,


Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,


Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,


Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..

Judai


Wo jo dawedar hai shehar main,
k main sab ka nabz shanas hon...

Kabhi mujh se to aa k pochta,
k main kis k gham me udas hon..
...

Ye meri kitab_e_hayat hai,
isay dil ki aankh se parh zara..

Main warq warq tere samne,
tere ru ba ru tere pas hon..

Ye teri umeed ko kya hua,
kabhi tu ne ghor nhi kiya..

Kisi sham tu ne kaha to tha,
teri saans hon teri aas hon..

Ye teri judai ka gham nhi
ye silsilay to hain roz k..

Teri zaat iska sabab nhi,
mai boht dino se udaas hon...!!!!