Saturday, April 27, 2013

Afsanay

                                       Afsanay

Kitab-e-Dil pe Likhay Thay kitnay he Afsanay
Kuch Qissay naye Thay Aur kuch Berson Puranay

Kuch un ka zikar jo kabhi Rag-e-Jaan say they Qareeb
Kuch wo jo Aaj Bhi Lagtay Hain Begaanay
...
Kaash Aisi koi rut koi Moosam Aaye
Khushiyon Bharay Geet Hum lagein Gungunanay

Aaj Bhi Dil Mera is Aas Pe Zinda Hay
Aik Roz to Aayein Wo Hum ko Mananay

Safha-e-Dil ko koi Humaray Perh ker dekhay
Khoon-e-jiger say likhay Hain Sab Afsaanay

Guzra hua Zamana Bhula Do Zehen say Apnay
Aatay nahin Laut k Beetay Huay Zamanay...!!!

Wednesday, April 24, 2013

ISHAQ

                                 ISHAQ.....


Ishq Mein Jamhooriyat Nahin Hay Warna,
Dharna Day K Paa Letey Tujhey..!!

Thursday, April 18, 2013

Mohabbat...




Haqeqat ashna mery
tujhy shayed khabr hogi

... Mujhe teri mohbat ne
boht buzdil bna dala,
Mai her us shaye se darti hon
Tujhe jo chean sakti hai,

Un lamho se derti hon
Judai jin mai rehti hai,

Un ashko se derti hon
Jo bun ker yaad bhety hain,

Mai un lafzo se derti hon
Jo khamsohi me rehty hen,

Bicharny ki mery humdum!!
Her sorat se derti hon...

Tujhy shayed khabr hogi

Mujhe teri mohbat ne
boht buzdil bna dala...!!!


Wednesday, April 17, 2013

Mehndi........

                                    Mehndi........

Woh Apne Mehandi Wale Haath Mujhe Dikha Kar Royi,
Ab Main Hoon Kisi Aur Ki Yeh Mujhe Bata Kar Royi.
Pehle Kehti Thi Ke Nahi Ji Sakhti Tere Bin,
...
Aaj Phir Se Woh Baat Dohra Kar Royi.

Kaise Kar Loon Uski Mohabbat Pe Shak Yaaro!
Woh Bhari Mehfil Mein Mujhe Gale Laga Kar Royi

Friday, April 5, 2013

Izhar-e-Mohabbat....

                              Izhar-e-Mohabbat....

Izhar-e-Mohabbat per ajab haal tha un ka....
Mohsin.........
Aankhain Raza mand thi, Lab Soch Rahy thy........

tanhai......

Mohabbat......

                            Mohabbat karney waley dil......

Mohabbat karney waley Dil....
Buhat Hsas hoty hain,
Bus in ka Aik hi Mehwar
Bus in ka Aik hi Markaz,
Bus in ka Aik hi Manzil,
Bus in ki JuStuju or Tarap ka
Aik hi hasil.......

Inhay Bas Aik hi Dhun hai,
Khuda Mehbob ko Un key
Hamesha shadman rakhy,
Na ic ka Dil kabhi totay.
Na koi Saniha guzary,
Koi gham chu nahi paye,
Udasi pas na aaye,

Mohabbat karney waley Dil....
Buhat Hasas hoty hain,
 

Mohabbat karney waley Dil....
Buhat Hasas hoty hain,

Kabhi Soda nahi kartey
Nah koi Shart Rakhtey hain,
Na un ko Moawazay ki hirs hoti hai,

Mohabbat karney waley Dil....
Buhat Hasas Hoty Hain........!

Thursday, April 4, 2013

Barish....

                                          Aadatain......

                                  Barishon key Mousam main
                                  Tum ko yad karny ki aadatain,
                                  Purani hain.......
                                
                                  Ab ki bar socha hai.....
                                  Aadatain......

                                  Badal Dalon,
                                  Phir.............!
                                  Khayal aaya key
                                  Aadatain......
                                  Badalny sy BARISHAIN nahi rukti.........................

Wednesday, April 3, 2013

Main ny shaam hari hai.........

                      Main ny shaam hari hai.........

Hum Ney Seh Lia Kafi......
Ab Tumhari Bari Hai,

Hum Ney tu Udasi main
Zindagi Guzari Hai,

Fasloon Sey Joay Mey,
Main ny shaam hari hai.........

Mout Bhi Zaruri Hai
Zindagi Bhi Piyari hai 

Fasloon Sey joay Mey,
Main ny shaam hari hai.........

Dreams never die....

                                Khawab Marty Nahi......

Khawab Marty Nahi.......

Khawab Dil Hai Na Ankhain Na Sansain K Jo
Reza Reza Hoey Tu Bikhar Jain Gain,
Jisam Ki Mout Sy Yeh Bhi Mar Jain Gain,

Khawab Marty Nahi....
Khawab Tu Roshni Hain
"NAVA" Hain "HAWA" Hain
Jo Kaly Paharoon Sy Ruktey Nahi,
Zulam Key Dozkhon Sy Phakty Nahi,
Roshni aur "NAVA" aur "HAWA" key ALM
Maqtaloon Main Puhnch Kar Bhi Jhuktey Nahi
Khawab Tu HARAF Hain...........,
Khawab Tu NOOR Hain......
Khawab SAQRAAT hain......,
Khawab Mansoor Hain.........


By: Ahmed Faraz...

Khushboo......

                                  Nazam.........

    Mery Lafzoo ki Khushboo
    Charr Soo Pheli Hoi Hai......
    Kahi-Un-Kahi Si Batain Bhi,
    Mery Harfon Sy........
    Sarghoshian Karti Nazar Aati Hain..............
    Lakin.............!
   Yeh Yaqeen Kis Ko Aaye Ga?
   Key Mery Andar K Buhat Sary "DUKH"
  Abhi Tk Buhat Be Zuban Hain.............